Monday, May 28, 2007

Great Shayari Part - 3

Fasle umar ke kuchh aur bada deti hai,
Jane kyu log use dawa kahate hai......
Zindagi ko sila kahate hai kahane wale ,
Zeene wale to ise gunaho ki saza kahate hai.


Aaj phir aayana hamse puchta hai....
Ki teri aankho mai nami kyo hai...
Jiski dosti mai khud ko bhula diya...
Phir uski dosti mai kami kyo hai..


khushbu ne phool ko khaas banaya,
Phool ne mali ko khaas banaya,
Chahat ne mohabbat ko khaas banaya,
Kambakht mohabbat ne kitno ko devdas banaya.


Yaadon me aap bhi kabhi khoye honge
Khuli aakhon se aap bhi kabhi sooye honge
Mana hasna aadat hai aapki
Par haste haste aap bhi kabhi roye honge.


Sazaa dene waale razaa puchte hai
Jeene ki humse wajah puchte hai
Dete hai khud hi zehar humko aksar
Phir kitna hua hai asar poochte hai..


Contributed by
VIKAS AGRAWL
(Hyderabad)

Note: Send your shayari to sandeepinfo@yahoo.co.in and i'll publish them with your identity.

Great Shayari Part - 2

Kisi ko apna banane me der lagti hai,
Ek wada nibhane me der lagti hai,
Pyar to pal bhar me ho jata hai yaaron,
Magar unhe bhulane me ek umar lagti hai....


Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
Yaad unhe din rat kiya karte the,
Ab un raho se guzra nahi jata,
Jahan baith kar unka intezaar kiya karte the.!


Gam-e-ulfat main hum had se gujar gaye,
Ki unke ishq mein hum deewane ban gaye,
Humne to sunai thi apni daastain-e-dil unko,
Wo jalim samjhe gazal aur wah wah kar gaye,


Unki julfo ke saaye hum zamana bhula dete hain,
Wo ek nazar se kitne armaan jaga dete hain,
Ishq to unko bhi hai humse ye jaante hai hum,
Phir bhi na keh kar kyoin vo iss dil ko saza dete hain


Muskan tere Hoton Se Kabhi Jaaye na,
Aansun tere Palkon Pe Kabhi Aaye na,
Poora Ho tera Har Khwab ye dua hai meri,
Aur Jo Poora na Ho Woh Khwab Kabhi Aaye Na


Contributed by
Hassan Ali
(Hydrabad)

Great Shayari Part - 1

Kabhi roke muskuraye, kabhi muskurake roye
Teri yaad jab bhi aayee, tujhe bhula bulake roye
Ek tera hi naam tha jise hazaar baartha likha
Jise khush hue the likhkar use mita mita ke roye...

Mar jaoon main agar, to aansu mat bahana,
bas kafan ki jagah apna dupatta chada jana,
koi pooche ki rog kya tha,
to sir jhuka ke mohabbat bata jana.


Log to apna banake chodd dete hai..
Kitnee aasaani se gairon se rishta jod lete hai...
Hum ek phool tak na tod sake kabhi...
kuch log berahmi se dil bhi tod dete hai..


Chand utra tha hamare aangan mein
Yeh sitaaron ko gawaara na hua
Hum bhi sitaaron se kya gilla karen
Jab chand hi hamara na hua...


Dil tootega toh fariyaad karoge tum bhi
Hum na rahe toh hamein yaad karoge tum bhi
Aaj kehte ho hamare paas waqt nahin
Par ek din mere liye waqt barbaad karoge tum bhi

Contributed by
Hassan Ali (Hydrabad)

Note: Please provide your feedback by writing comments. If you a some quality Shayari then send it to me at sandeepinfo@yahoo.co.in i'll publish it with your name.